Monday, 12 March 2012

Tere beghair saans lena majboori hai
Khuwahishon ka tashna rehna zarori hai 

Sochon k bhanwar mai hum phans gaye hain
Muhabbaton mai nafraton ka hona zarori hai

Tere saath chalnay ki chahat bari hai
Har mor pe lekin rasta badalna zarori hai . .

Na jeetnay ki khushi milay , na harnay ka ghum ho ab
Jazboon ko baatnay k lye k humsafar zarori hai

Shor hungamo se hum ukta gaye hain
Mehfil k bad tanhai zarori hai . .





                                             Annie Ain