Friday, 10 January 2014

Maan lo kay hum Azaad hain ...



Firqoon main batay hue hain to kiya 
Namaz perhnay k liye hum Azaad hain

Punjabi pashto balochi sindhi hai to kiya
Urdu bolnay k liye hum Azaad hain 

Saqawati rung badal gaye hain to kiya 
Eid mananay k liye hum Azaad hain 

Nach ganay main par gaye hain to kiya
Azaan denay k liye Hum Azaad hain

Dushman waar kar kay to dekhay ..
Pakistan pe marnay k liye Azaad hain

By Annie Ain ..

No comments:

Post a Comment