Friday, 28 October 2011

Change ..........

Tabdeeli hamesha Hamari zaat se shuru hoti hia ....... lekin hum sari umar Duniya , Apne aas pass rehne waley logon ko badalnay ki koshish karte rehtey hain .... Jis main hum kabhi kamyaab b nahi ho patay ..... jab badal nahi patay to gusaa hotay hai , shikwa karte hian ... shikayat berhney lagti hian ....phir hum ik aese jaal main phans jatay hain jis main sirf hum sahi hotay hain .... baqee sab ghalat .... Khud se kabhi sawal karna .... KIYA MAIN KISI K LIYE TABDEEL HO SAKTI/SAKTA HON ..... ager jawab NAHI hai to kabhi ye mat sochna k khud ko badlay beghair app kuch tabdeel kar sakte ho ... Chahay halaat hon ya insaaan ...... Or ager Jawab HAAN hai to fikar mand na ho ..... apki tabdeeli asar rakhegi .... Aj nahi to kal ... Magar CHANGE ayega :)

No comments:

Post a Comment