Wednesday, 30 November 2011

They are Always Right !!!!

Zindagi main baaz dafa hum aese logon se miltey hain jo hamesha hamay D grade karne ki koshish karte hain ... Hamay har cheez k liye mana karte hain ... Hamay hamesha neecha dikhana chahtaya hain ...Kabhi hamari khubiyon ki tareef nahi karte ... Kabhi hamaray kaam ko nahi sarhatay ... Ager hum unse yeh kahain k " han hum kar saktey hain " un ka jawab hamesha yehi hota hai k " nahi tum nahi kar saktey .... Tum main wo salahiyat hi nahi " ..... Hamesha hamay yeh jatanay ki koshish karte hain k hum zindagi ki daur main bahut peechay reh gaye hain .... Yeh kabhi b hamay wesa qabool nahi karte jaise hum hotay hain .... Ager hum koi kaam apni marzi se kar b lain to wo usse qabool nahi karte ......Wo hamay apna Ilm detey hain ... zindagi k tareeqay batatay hain ... Lekin jab hum unse kuch seekhnay ki koshish karte hain to unki zindagi main koi dilchusp cheez or naya pan nahi patay .... Wo wesa hi karte hain jaisa hum karte they .... Ya..... Wo wese hi kartey they jaise hum karte hain .....Yeh kon hotay hain ..... Yeh hamaray baray hotay hian ..... Ya ...... Apnay app ko bara samajhtay hain ... Sirf  Naam-o- Nihaad baray ......Ye apne app ko sirf is liye bara samajhtay hain q k wo umer main ... Ya ... .. Tajarbay main hum se baray hotaya hian .... Lekin aese log pata nahi apna Dil bara karkay Hamay qabool q nahi karte ...Kisi ki mamooli ghalti or la-ilmi ko maaf q nahi karte ........Yeh wo log hotay hain jo kisi ko tabdeel karna chahtay hian ... Lekin ghalat tareeqay istimal karte hain ....Jinhain sirf ik cheez yaad rehti hai ... k Hum baray hian ... Isi liye Hum sahi Hain ......  Jo bachon k saath apna barapan nahi dikhatay .... Or jab Bachay apne chotay pan pe utar atay hain to unhain phir ik or moqa mil jata hai .... :)

No comments:

Post a Comment