Friday, 10 January 2014

Forgiveness !!!!


Maafi maangnay se sab kuch khatam nahi hojata .. Wo waqt , wo takleef jo hum kisi ki waja se bardasht kartey hain ... Wo maafi mangnay se khatam nahi hojati .. !! Insaan bhool k bhi nahi bhool sakta .. Maaf kar k bhi maaf nahi karta .. Dil pe lagay hue zakhm itni asaani se khatam nahi hotay !!! Sab kuch sahi hotay hue bhi kuch ghalat hota hai .. Ager kuch karne se pehle bus itna soch lain k is k asraat kisi pe kiya hongay to zindagi main Humain shayad kabhi pachtana nahi parey .. !!!

Maan lo kay hum Azaad hain ...



Firqoon main batay hue hain to kiya 
Namaz perhnay k liye hum Azaad hain

Punjabi pashto balochi sindhi hai to kiya
Urdu bolnay k liye hum Azaad hain 

Saqawati rung badal gaye hain to kiya 
Eid mananay k liye hum Azaad hain 

Nach ganay main par gaye hain to kiya
Azaan denay k liye Hum Azaad hain

Dushman waar kar kay to dekhay ..
Pakistan pe marnay k liye Azaad hain

By Annie Ain ..

Poem

Tere Lums se Aashnai ... Jo Mujhe ho Na Payee
Teri Yaad se Rihaye .. Jo Kabhi Ho na Paye..

Tu Door tha ... Mera Tha .. Tu Ab Kahin Nahi Hai ....
Teri Zaat se Judai .. Jo Kabhi ho na Payee... 

Annie Ain ...

LOVE

Love actually reduces the chances of sudden death of Relationships. By Annie Ain

Thursday, 22 November 2012

Whether you are wrong or right , you have NO RIGHTS to insult anyone . QA
It doesnt matter how you treat Your friends ... If they love you .. They wouldnt leave You ... QA
Man who do not respect woman , can never be a good Father , Brother or Husband -QA

Tuesday, 21 August 2012

Quote

I like bitterness of chocolate instead of behaviour ( Annie Ain )

Monday, 12 March 2012

Tere beghair saans lena majboori hai
Khuwahishon ka tashna rehna zarori hai 

Sochon k bhanwar mai hum phans gaye hain
Muhabbaton mai nafraton ka hona zarori hai

Tere saath chalnay ki chahat bari hai
Har mor pe lekin rasta badalna zarori hai . .

Na jeetnay ki khushi milay , na harnay ka ghum ho ab
Jazboon ko baatnay k lye k humsafar zarori hai

Shor hungamo se hum ukta gaye hain
Mehfil k bad tanhai zarori hai . .





                                             Annie Ain 

Wednesday, 15 February 2012

Kyun Sunheri Shaam Ati hai Sirf Khuwabon main .....
Kyun Nahi Ati Yeh Zindagi ki Rahoon main ....

                                                          Annie Ain 

Humsafar ....

Ae jaan-e- jigar ..
Tujh ko Kiya Khaber
Humnay Tujhe Maan Liya
Apna Humsafar ......


                            Annie Ain

Yeh jo Zindagi ki Kitaab hai ....
Is main Ghum Be Hisaab hain ..

Meri Zindagi Tu Ik Khuwaab hai ..
Or Khuwaab to Bus Saraaab Hain ....

                           

                                          Annie Ain

Thursday, 26 January 2012

Kyun Hum Tum Milay Thay !!!!!!!!!

Ik Doosray Ki Taqdeer Main Jab Hum Nahi Thay ..... 


Phir Zindagi K Mor Pe Kyun Hum Tum Milay Thay 


Hum Tum Milay To Kyun Ye Rishtay Juray Thay 


Pyaar K Ye Phool Kyun Dil Main Khilay Thay ..


Manzilain Bhi Alag Thin , Rastay Bhi Judaa Thay 


Rahoon Main Phir Kyun Hum Tum Milay Thay ..


Zindagi Bhur Mangaa Tujhe Rub Se .....


Jab Milay To Phir Ajnabi Kyun Bun K Milay Thay ..........


                                                                Annie Ain 

Tuesday, 24 January 2012

Zindagi Asaan kardo tumm ..


Zindagi Asaan kardo Tumm .. 
Bhool Jao Naam Bhi Mera..



Nahi Perhti Main Khat Puranay 
Tumse Wabista Kuch Nahi Mera




Na Dya karo Yadoon Pe Dastuk
Tumhe Sochun Ye Bhi Haq Nahi Mera




Pehlu Main Tumharay Kisi Or Ko Dekhun
Is Qadar Hosla Nahi Mera ...




Tumhe He Har Cheez Se Rokoon 
Khud Pe To Bus Nahi Mera .....


                                          Annie Ain ..

No Problem !!!!!

" Har Maslay Main Koi Na Koi Maslihat Hoti Hai ".... Sab Kuch Behtreen Hota Hai Bus Humaray Pass hi wo ankh nahi JO us Behtreen Muslihat ko dekh Sakain .... Kuch logon hotay hian ... Jinhain Har Cheez main Allah ki Maslihat dikh jati hai .... Kuch log Hotay hain Jo us Maslihat ko Apnay Liye Sahi Nahi samajhtay ..... Kuch Log Hotay Hain Wo jo Us Maslihat ko Dekhna hi Nahi Chahtay Ya Shayad Unhain Samajh hi Nahi Ati ..... Kuch Log Aese b Hotay hian Jo Beghair Koshish Karay ,  Apni Nakamiyon ko Maslihat ki Aar Main Chupa Detey Hain ... ..... Per Shayad Un ki Taqdeer Main Koshsish Karna Bhi Ni Hota ..... :) ..... Khair "Maslihat" Duniya Main Insaano K liye Bahut Bari Naimat Hai .... Is ko Paa kar Insaan khud ko b Mutmain Karta hai .. or Apnay Ass Pass Rehnay Walay Logon Ko Bhi ....... Is ik "Muslihat" ko Jaan kar insaan duniya main Apna Maslay Hul Kar Sakta Hai Or Khush Reh Sakta Hia .... Duniya Itni b Buri Jaga Nahi :)

Friday, 30 December 2011

Wo Mere Hathoon Ki Thundak ko
Apni Hatheli Main Basaya Karti Thi 


Wo Mere Mizaaj ki Garmi ko ....
Akser Bhujaya Karti Thi .....


Mere Sochon , Mere Batoon Ko 
Wo Hansi Main Uraya Karti Thi


Chuu k Mere Baloon Ko Akser
Wo Mjhe Manaya Karti Thi 


Sir Rakh K Mere Seenay Pey
Raaaz Apnay Bataya Karti Thi 


Wo Kon Thi , Kahan Gaye Ain ...
Wo Jo Mere Khuwaaab Sajaya Karti Thi 



                                                      Annie Ain 

Terey Sath Hi Bhalay Thay ....

Asaan Nahi Hai Phir Se Un Raaasto Pe Chalna .....
Jahan Pe Hum Milay Thay , Jahan Se Hum Chalay  Thay

Gaya Waqt Laut Aaye , Yehi Hai Ab Tamanna
Tere Saath Hi Khilay thay ,  Terey Sath Hi Bhalay Thay


                                                                         Annie Ain

Thursday, 1 December 2011

Poem .....

Logon Ko bataogey to Tamasha lagega .....
Zindagi ka Safar na Suhana Lagega ..... ...




Usse pana ab mumkin hi nahi ......
Ab to Dard Dil main chupana PArega ....




Bhool janay ki us ko koshish na karna ..... 
Dobara se phir Zakhm Khana parega


                                                         ANNIE AIN

Wednesday, 30 November 2011

They are Always Right !!!!

Zindagi main baaz dafa hum aese logon se miltey hain jo hamesha hamay D grade karne ki koshish karte hain ... Hamay har cheez k liye mana karte hain ... Hamay hamesha neecha dikhana chahtaya hain ...Kabhi hamari khubiyon ki tareef nahi karte ... Kabhi hamaray kaam ko nahi sarhatay ... Ager hum unse yeh kahain k " han hum kar saktey hain " un ka jawab hamesha yehi hota hai k " nahi tum nahi kar saktey .... Tum main wo salahiyat hi nahi " ..... Hamesha hamay yeh jatanay ki koshish karte hain k hum zindagi ki daur main bahut peechay reh gaye hain .... Yeh kabhi b hamay wesa qabool nahi karte jaise hum hotay hain .... Ager hum koi kaam apni marzi se kar b lain to wo usse qabool nahi karte ......Wo hamay apna Ilm detey hain ... zindagi k tareeqay batatay hain ... Lekin jab hum unse kuch seekhnay ki koshish karte hain to unki zindagi main koi dilchusp cheez or naya pan nahi patay .... Wo wesa hi karte hain jaisa hum karte they .... Ya..... Wo wese hi kartey they jaise hum karte hain .....Yeh kon hotay hain ..... Yeh hamaray baray hotay hian ..... Ya ...... Apnay app ko bara samajhtay hain ... Sirf  Naam-o- Nihaad baray ......Ye apne app ko sirf is liye bara samajhtay hain q k wo umer main ... Ya ... .. Tajarbay main hum se baray hotaya hian .... Lekin aese log pata nahi apna Dil bara karkay Hamay qabool q nahi karte ...Kisi ki mamooli ghalti or la-ilmi ko maaf q nahi karte ........Yeh wo log hotay hain jo kisi ko tabdeel karna chahtay hian ... Lekin ghalat tareeqay istimal karte hain ....Jinhain sirf ik cheez yaad rehti hai ... k Hum baray hian ... Isi liye Hum sahi Hain ......  Jo bachon k saath apna barapan nahi dikhatay .... Or jab Bachay apne chotay pan pe utar atay hain to unhain phir ik or moqa mil jata hai .... :)

Tuesday, 29 November 2011

Quote by Annie

Some people think that only they are intelligent but they forget that there are two other forms of adjectives. ( Annie )