Friday, 30 December 2011

Wo Mere Hathoon Ki Thundak ko
Apni Hatheli Main Basaya Karti Thi 


Wo Mere Mizaaj ki Garmi ko ....
Akser Bhujaya Karti Thi .....


Mere Sochon , Mere Batoon Ko 
Wo Hansi Main Uraya Karti Thi


Chuu k Mere Baloon Ko Akser
Wo Mjhe Manaya Karti Thi 


Sir Rakh K Mere Seenay Pey
Raaaz Apnay Bataya Karti Thi 


Wo Kon Thi , Kahan Gaye Ain ...
Wo Jo Mere Khuwaaab Sajaya Karti Thi 



                                                      Annie Ain 

Terey Sath Hi Bhalay Thay ....

Asaan Nahi Hai Phir Se Un Raaasto Pe Chalna .....
Jahan Pe Hum Milay Thay , Jahan Se Hum Chalay  Thay

Gaya Waqt Laut Aaye , Yehi Hai Ab Tamanna
Tere Saath Hi Khilay thay ,  Terey Sath Hi Bhalay Thay


                                                                         Annie Ain

Thursday, 1 December 2011

Poem .....

Logon Ko bataogey to Tamasha lagega .....
Zindagi ka Safar na Suhana Lagega ..... ...




Usse pana ab mumkin hi nahi ......
Ab to Dard Dil main chupana PArega ....




Bhool janay ki us ko koshish na karna ..... 
Dobara se phir Zakhm Khana parega


                                                         ANNIE AIN

Wednesday, 30 November 2011

They are Always Right !!!!

Zindagi main baaz dafa hum aese logon se miltey hain jo hamesha hamay D grade karne ki koshish karte hain ... Hamay har cheez k liye mana karte hain ... Hamay hamesha neecha dikhana chahtaya hain ...Kabhi hamari khubiyon ki tareef nahi karte ... Kabhi hamaray kaam ko nahi sarhatay ... Ager hum unse yeh kahain k " han hum kar saktey hain " un ka jawab hamesha yehi hota hai k " nahi tum nahi kar saktey .... Tum main wo salahiyat hi nahi " ..... Hamesha hamay yeh jatanay ki koshish karte hain k hum zindagi ki daur main bahut peechay reh gaye hain .... Yeh kabhi b hamay wesa qabool nahi karte jaise hum hotay hain .... Ager hum koi kaam apni marzi se kar b lain to wo usse qabool nahi karte ......Wo hamay apna Ilm detey hain ... zindagi k tareeqay batatay hain ... Lekin jab hum unse kuch seekhnay ki koshish karte hain to unki zindagi main koi dilchusp cheez or naya pan nahi patay .... Wo wesa hi karte hain jaisa hum karte they .... Ya..... Wo wese hi kartey they jaise hum karte hain .....Yeh kon hotay hain ..... Yeh hamaray baray hotay hian ..... Ya ...... Apnay app ko bara samajhtay hain ... Sirf  Naam-o- Nihaad baray ......Ye apne app ko sirf is liye bara samajhtay hain q k wo umer main ... Ya ... .. Tajarbay main hum se baray hotaya hian .... Lekin aese log pata nahi apna Dil bara karkay Hamay qabool q nahi karte ...Kisi ki mamooli ghalti or la-ilmi ko maaf q nahi karte ........Yeh wo log hotay hain jo kisi ko tabdeel karna chahtay hian ... Lekin ghalat tareeqay istimal karte hain ....Jinhain sirf ik cheez yaad rehti hai ... k Hum baray hian ... Isi liye Hum sahi Hain ......  Jo bachon k saath apna barapan nahi dikhatay .... Or jab Bachay apne chotay pan pe utar atay hain to unhain phir ik or moqa mil jata hai .... :)

Tuesday, 29 November 2011

Quote by Annie

Some people think that only they are intelligent but they forget that there are two other forms of adjectives. ( Annie )


Wednesday, 23 November 2011

Poem ........

Main Jitnaa Door Jaoon Us Se ...
Wo Paas Mere Hi Ata Hai ....


Main Usse Jitna Bhi Sataoon
Wo Rooth K nahi Jata Hai 


Mere Ander Kiya Hai Aesa 
Jo Wo Sirf Mjhe Hi Chahta Hai 


Main Usse Jitna Bhoolna Chahun 
Wo Itna Hi Yaad Ata Hai ..


                                          Annie Ain

Is Dil Ko Tu Samjha .... !!!!! ( poem )

Jahan Jata Hon Main 
Wahan dhondoon Tujhe 
Pata hai Mjhe 
Nahi Milegi Per
Is Dil Ko Tu Samjha .......
Ab tera Intizaar Chor day ...




Tujh se Milnay k liye Tarapta hon ...
Har Chehrey Main Tujhe Dhoondta Hon ..
Janta Hon Main ....
Kay In chehron main Tera Chehra Nahi ...
Phir b Chehron Ko Dekhta Hon ..
Is Dil ko Tu Samjha ....
Kay Har Chehra Dekhna Chor day .....




Ankhon Main Tera Aks Liye ...
Maujoon Ko Dekhta Hoon .....
Kay Har Lehar Ki Tanha 
Tu Meri Har Khuwahish Puri Kar day 
To Zindagi Main Koi Tamanna Na Ho ...
Janta Hon main 
Ye Mumkin Nahi ...
Kay Bus Is Dil Ko Tu Samjha 
Kay Sapnay Sajana Chor day .....




Sochta Rehta Hon Main Tujhe Pheroon Baith kay ...
Kay Tujh Main Aese Kiya Hai Baat ...
Kay Teray Ilawa mera Dil Kisi ko Sochta Nahi ...
Hum Tum Main Na Iqrar ka Wo lamha Aya ..
Na koi Pyaar ki Baat ....
Phir Bhi meri Sochon Main Tu Har Dum Rehti hai
Meri Jaan Is Dil Ko Tu Samjha Day ...
Kay Tujhay Sochna Bhi Chor day .....


                                                              Annie Ain